Humnein unko chaha tha,par unhone humein apna maana hi nahin...
Humein gila nahin hai unse,
ki unhone humein apnaya nahin...
Shayad hum unke liye na the ya woh hamare liye na thi,
mana hai ab humne ki galti ki thi...
Apni us galti ko ab humnein sudhara hai,
pata hai mujhe jo hamein dia hai khud ne,woh hamara hai...
Chahte hain usko mohabbat ki had tak hum,
pyaar hamara na hoga sadiyo tak kum..
Koshish karunga,unhe choo bhi na paye koi gum,
meri needo mein jagte hain woh,unki ankhon mein sote hain hum...
Yaad karte hain unko din aur raat,
aksar hoti hai har baat mein unhi ki baat..
Unke baare mein soch kar yeh likh raha hun,
shayad unko manane ka koi tarika dhund raha hun...
Jb ruthte hain woh humse,unki natkhat ada ko dekhkar unke pas jane ka dil karta hai,bas..unhe baahon mein lekar jhoomne ka dil karta hai....
Bas yun hi dil karta hai...