Monday, 2 January 2012

"aNcHaahA kHwAaB"

Koi anchaha khwab in palko pe na cha jaye,
isi dar se nind ko gale nahin lagate hain...
Koshish karta hun har pal door jane ki,
yeh faasle aise hain ki ghatte hi jate hain...
Choo bhi na jae koi gum unko,
islye bewajah khud ko satate hain,
khud se bhi yeh chupa nahi pate,
unke lye har had paar kar jate hain...
Wada hai jb tak hun main,
is chehre se yeh hansi hatne na dunga,
yeh hasti mite to mit jaye,
teri khwahish toh puri karunga..

No comments:

Post a Comment