Saturday, 17 December 2011

"mAa"

Maa,
ek ehsas hai,
ek vishvas hai,
jo sabse khas hai...
maa,
woh rishta hai,
ek farishta hai..
Maa,
tu mahan hai,
insan k rup mein bhagwan hai...
Amawas ki kali raat ho,
tufan bhari barsat ho,
apne matratva ki bunde,
humpar barsati rehti hai,
har kast hans ke sehti hai,
har sukh hamko deti hai...
Bachpan mein ungli pakad kar,
nanhe pago par chalna sikhati hai,
khush dekh humko hamesha muskurati hai,
papa k gusse se bachati hai,
jb pyar se sir pe hath firati hai,
toh mano dharti pe jannat mil jati hai,
aisi maa k charno mein apna pura jivan bitaun,
har janam mein tujhko hi maa paun,
kehta hun sbse,
chahe ban jao kitne bhi mahan,
apni maa ko sada dena samman,
humko jisne banaya is kabil,
us mahan MAA ko 'anurag' ka pranam.